Sunday, 29 September 2013

Kangan By Wasi Shah

Kangan very famous romantic poetry by Wasi Shah.
Wasi Shah is a well-known young poet of Pakistan. In few years he has contributed a lot in Urdu poetry.


kangan poetry with background wallpaper


::Kangan::


Kash main tere haseen hath ka kangan hota
Tu bare pyar se chao se bare man key sath
Apnu nazuk si kalai main charhati mujh ko
Aur betabi se furqat ke khizan lamhon main
Tu kisi soch main dobi jo ghumati mujh ko
Main tere hath ki khushbu se mehak sa jata
Jab kabhi mood main aa kar mujhe choma karti
Main tere honton ki hidat se dehak sa jata
Raat ko jab bhi tu neendon ke safar pr jati
Mar-marin hath ka ik takya banaya karti
Main tere kaan se lag kar kae baatain karta
Teri zulfon ko tere gaal ko choma karta
Jab bhi tu band qaba kholne lagti jana
Apni ankhon ko tere husn se khera karta
Mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
Main teri rooh ke gulshan main mehkta rehta
Main tere jism k angan main khankta rehta
Kuch nahin to yehi be-nam sa bandhan hota
Kash main tere haseen hath ka kangan hota.

0 comments:

Post a Comment