Saturday 5 October 2013

Mazahiya Ghazal (Comedy Poem)

Urdu Designed Ghazal Poetry


Yun zindagi ki rah main takra gya koi
Khud neeche utar kar mujh ko latka gya koi

Rasman hi main ne poch liya kuch khaye janab
Ghar main jo kuch tha sab kha gya koi

Wagon main bari zor se main cheekhi
Mere paon ko jab sandal se daba gya koi

Mujhe bara maza aya kela khatay hoay
Lekin afsos hoa jab road par phisl gya koi

Jab chatting karte hoay main ne kisi ko pagal kaha
Bari khushi se jab jhoom utha koi

Pagal thi main jo us bewafa ko apna samjha
Sar-e-am college main mujh ko ruswa kar gya koi

Mera kya jurm tha dost kamran ye to bata
Jab cd ke bahane ghar main chala aya koi

Woh aik lamhe ka safar aaj tak yaad hai mujhe
Jab achanak dil ke khane main bas gya koi

Tum kya samjho dil ki baat ko couzin Mohsin
Apni baaton se dil main jab utar gya koi

Main is qabil to nahin ke koi mujh ko chahe
Lekin bina poche mujh ko chah gya koi

Mudat se dil ke aandan main loadshadding thi hina
Apne husn ke bulb is main jala gya koi

0 comments:

Post a Comment