Friday 4 October 2013

Safar - Ghazal By Mohsin



Very Nice Urdu Ghazal By Mohsin Naqvi

Kare safar main agar rasta badalna tha
To ibteda main mere sath hi na chalna tha

Kuch is liay bhi tou suraj zameen pe utra hai
Pahariyon pe jami barf ko pighalna tha

Utar ke dil main lahoo zehar kar gya akhir
Woh sanp jis ko meri asteen main palna tha

Ye kya keh tohmatain atish fishan ke sar aein
Zameen ko khud bhi khazan kabhi ugalna tha

Main laghzishon se atay raston pe chal nikla
Tujhe ganwa ke mujhe phir kahan sambahlna tha

Ajab naseeb tha Mohsin ke bad marg mujhe
Charagh ban ke khud apni lehd main jalna tha

0 comments:

Post a Comment