Saturday 28 September 2013

Tumhari Yaad Aati Hai - Urdu ghazal


"Tumhari Yaad Aati Hai"


Baat mohabbat ki chalti hai jab tumhari yaad aati hai
Raat aankhon main kat-ti hai jab tumhari yaad aati hai


Daman e dil main chingari mohabbat se jo kabhi
Atish e hijr jal uth-ti hai jab tumhari yaad aati hai


Aaena e chashm main rung ban ke jo utrain beete lamhe
Aur bazm yaadon ki jamti hai jab tumhari yaad aati hai


Sard dhoop ki munderon se nikal kar udas sham
Mere aangan main utarti hai jab tumhari yaad aati hai


Kathaye dil sadaye dil jo ankhon ki siyahi sae nikal kar
Surat e shair main dhalti hai jab tumhari yaad aati hai


Tahad e nigah ufaq ke us paar suno Shaz jahan par
Aasman se zameen milti hai jab tumhari yaad aati hai.

0 comments:

Post a Comment